Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question Aitikaaf karnay kay liye kiya lazim hay aur ramzan mein kab kerna sahi hai? aur is kay masail kay barey main maloomat faraham karain? 
Answer Aitikaaf kay liye laazmi sharait ye hain.Musalmaan aur Aaqil ho is kay saath 1.Niyyat (Qurbatan Ilallah) 2.Roza 3.kam say kam 3 din ka ho 4.Masjid e Haram ,Masjid e Nabavi,Masjid e Basara,ya Shaeher ki Jama Masjid main kiya jaey..Aitikaaf Mustahib hay Magar Aitikaaf us waqt karna sahi hay jab Roza rakhna sahih ho Afzal ye hay kay Maah e Ramzaan main kiya jaey aur khas tor par Aakhir kay 10 days main Afzal hay.Aitikaaf 2 din guzarnay kay baad teesray din wajib ho jata hay magar ye kay us nay Niyyat kartay hoay Shart rakhi ho kay wo zaroorat kay waqt palat jaey ga.Minhaaj us Saliheen (A.Sistani) Page No.342-44  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.