Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question y taqleed is wajib? profe form quran? and its tafseer. im new shai so i belive just now quran and ahlubait. wasalam 
Answer Agar Insaan khud mujtahid na ho aur Aihtiyat par amal na karta ho to taqleed karna wajib hay.Quran Majeed main Sura e Tauba ki Ayat 122 main Irshad hay:Saahibaan e Emaan ka ye Farz nahi hay kay wo sab kay sab jihaad kay liye nikal parain to har grooh main say aik Jamaat Is kaam kay liye kion nahi nikalti hay kay deen ka ILM haasil karay aur phir jab apni Qoum ki taraf palat kar aaey to usay Azaab e Ilaahi say Daraey kay Shayad wo isi tarah darnay lagain..Imam Hasan Askari AS. ka irshaad e girami hay :Logon ko chahiye kay Fuqaha (yani Aihkaam e Shariyat ko tafseel say jannay walay Mujtahideen) main say jo shakhs apnay aap ko gunahoon say bachata ho,apnay deen ki hifazat karta ho (yani apnay deen par sakhti say Qaim ho),apni nafsaani khwahishaat ka ghulaam na ho aur Aihkaam e Ilaahi ki Itaaat karta ho us ki taqleed karain(Aihtijaaj e Tabrisi Jild-2 Pg.263)..Wali e Asr Imam Mehdi AS. farmatay hain: Ghaibat e Kubra kay zamanay main paish aanay walay halaat kay silsilay main hamari hadeesoon ko bayan karnay walay raawiyon ki taraf rujoo karo kionkay wo hamari tarah Hujjat hain jis tarah ham Allah ki taraf say Hujjat hain (Kamaluddin wa Tamamun Naima.Sheikh Sadooq)Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani. 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.