Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question as salam ale kum, meri qaza namaze baaki hai,mei abhi namaz baith kar parti hu kyuki mere pairo mei bohot takleef hai.mera sawal yeh hai kei kya mei apni qaza namaze jo baaki hai unhe baith kar adaa kar sakti hu??plz reply soon 
Answer Jab tak Insaan kharay ho kar namaz parh sakta ho zaroori hay kay na baithay masalan Agar kharay honay ki haalat main kisi ka badan harkat karta ho ya wo kisi cheez par taik laganay par ya badan ko thora sa terha karnay par majboor ho to zaroori hay kay jaisay bhi ho sakay khara ho kar Namaz parhay laikin agar wo kisi tarah bhi khara na ho sakta ho to zaroori hay kay seedha baith jaey aur baith kar Namaz parhay.Is main Qaza aur Ada Namaz main koi Farq nahi hay.Ref:Tauzeeh ul Masail Pg.158.Masala No.957 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.