Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question salam... mere pass khums kei 15-20 hazar rupess maujud hai.aur pakistan mei jo earthquake aaya hai ussei hamare bohot sare syed logo ka nuksan hua hai..karachi mei shia masjids mei paise jama kiye jaa rahe hai for helping those syeds..toh kya mei yeh khums kei paise waha dei sakti hu??please reply as soon as possible. 
Answer zaroori hay kay khums 2 hisson main taqseem kiya jaey,is ka 1 hissa Sadaat ka Haq hay aur zaroori hay kay kisi faqeer syed ya yateem ya aisay syed ko diya jaey jo safar main naChaar ho gaya ho.lihaza aap jin hazraat ki madad ki khatir khums ki raqam day rahay hain agar wo sadaat hain aur faqeer yateem ya safar main naChaar hon to unko khums ka Adha hissa (yani Sehm e Sadaat) dena jaiz hay.jabkay khums ka dosra hissa Imam e Zamana AS ka hay kay jo zaroori hay kay maujooda zamanay main Jamiush sharait mujtahid ko diya jaey ya aisay kaamoo main kharch kiya jaey jis ki Mujtahid Ijazat day lihaza agar aap kay mujtahid nay aap ko Ijazat dee ho kay in zalzala zadgaan ki madad kay liye is raqam ko kharch kar saktay hain to aap kay liye khums ka ye hissa bhi unko dena jaiz hay.Aihtiyat e lazim ye hay kay mujtahid Arjae Aalam ho aur Umoomi maslihatoo say aagaah ho.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.272,Masala No.1804. 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.