Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question Agar kisi ko paeshab karne ke baad harkat(movement) karne par paeshab ke katre gire to use kya karna chahiye? aesi halat me uska namaz aur dusri ibaadaton ka adaa karna kaisa hai? Aur is bimari ka koi ilaaj, taaweez ya naksh ho to de. 
Answer Ye Jawab A.Sistani kay Fatawa kay Mutabiq hay..Answer:1..Usay chahiye kay Istibraa karay jis ka tareeqa Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.69 main dekha ja sakta hay,aur beemari na honay ki soorat main aisi haalat main kay jab istibra na kiya ho namaz BATIL hay...*1:Agar kisi shakhs ko ye aarza laahiq ho kay Peeshaab kay qatray roknay par Qadir na ho to zaroori hay kay un logoon kay fareezay kay mutabiq amal karay jo paishab aur pakhana roknay par Qadir na hon. MASAIL : 1.Agar aap ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZN,IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day..2.Agar aap ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba Peeshab kay qatray kharij ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay qatray kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay..3.Agar aap ko wuzu kar kay namaz ka kuch hissa parhnay ki bhi muhlat na milti ho to aap ka aik wuzu chand namazoon kay liye bhi kafi hay siwaey ye kay aap koi doosra mubtilaat e wuzu anjaam day dain masalan so jaain waghaira albatta behtar ye hay kay har Namaz kay liye aik baar wuzu karay,laikin Qaza sajday,Tashahhud aur Namaz e Aihtiyat kay liye doosra wuzu zaroori nahi.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.306,307,308,787-Masala No.345,Pg.No.62.  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.