Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question us salam alay kum mera sawal :mere bhain kho us kay husband nay kai bar talaq de hai ek martaba jab who log haij may thay waha de or kai bar us nay apni ammi say samanay de or who nasha karta hai or who bada zalim hai mere bhain nay hamay kabhi kuch nahi bataya akhari baar jab hum ussay milnay gaya tho us kay husband nay us bhoot mara tha us ke ek eyes pay punch mardeya or belt say bhee bhoot mara jab hum ussay ghar lay a ya tho us nay bataya ke us kay husband nay us kai baar talaq de hai us kay maa kay samnay or ek baar haij kay doran abhi us kay huband kay ghar walay ya baat nahi maan rahai hai who kahata hai ke us nay tho kai baar talaq de hai lakin who nasha may tha or who log doctor say us kay pagal honay ka statement bhee layleya hai plese may aap say prove chahata hu ke mujha bataya ke may ya talaq sabit kar sakhu.. jazakallah-khair allah-hafiz please jaldi jawab talab kara khai dar na ho jaya... 
Answer 1) Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain. 1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-2473 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.