Answer |
jab jab ap apne shohar ke saamne aain to ya waliyo or raat ko bawazoo ho kar bistar per leetne se neend aane tak ya manioo (“oo” ka arabi talaffuz arabi ke een se karain) ka wird kijye. (Ref : nawaa e saleheen , pg # 292 , 298).
sura e Yaseen ko ibtida se pharna shuroo karain, jab 1st mubeen tak ponhche to 41 martaba darj zeel ayat phar kar dua maangain, phir doosre din phir shuru se Sura e Yaseen ko shuro se pharye yahan tak ke 2nd mubeen tak ponhach jaain to 41 martaba us hi ayat ko phar ka dua maangain jis ko 1st din phara tha, or jab Sura e Yaseen main 7 martaba lafz e mobeen aaya hai to 7 rooz tak ye hi amal karain.
41 martaba pharne wali ayaat : Sura e Al-Hamd (Sura no 1) ayat no 4 is ke baad ye dua pharni hai allah umma an taqziya hajati (or Allah Qazi u Hajaat se apni hajat talab karain).(Ref : nawaa e Saleheen , pg # 49 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai). |