Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question im a new muslim kindly yai batain k ghusal kin halaton m farz hai kin per nae hai agar you tube per koe clip daikh per kuch mehsos nae hwa jb sharam gah ko daikha to katra nazar aya is halat m kya kya jai 
Answer Na-balig per gusal or is hi terah ki or dosre wajibaat wajib nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 2). Albatta Balig Mard per 4 chezoo or Balig Orat per 7 chezoo ki waja se gusal wajib ho jata hai.Mard per gusal wajib hone ki wajohaat, 1 – gusal e janabat (yani mani ka nikalna ya jima ka karna chahe mani nikle ya na-nikle) 2 – gusal e mass e mayyat (yani mayat ka badan thanda hone ke baad or is ko gusal dene se pele is ko chone ki waja se chone wale per gusal wajib ho jata hai) 3 – gusal e mayyat (yani ager koi musalmaan mar jaae or us ko koi gusal dene wala na ho to ap per gusal dena wajib hai, lekin ager koi or gusal de raha ho to phir ap per gusal dena wajib nahi) 4 – insan apne uper nazar ya qasam ki waja se gusal wajib kare.Orton per gusal wajib hone ki wajohaat, 1,2,3,4 – ye wo gusal hain jin ka zikar uper ho chukka hai, 5 – gusal e haiz, 6 – gusal e nifaas, 7 – gusal e istihaza.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # after 343 , 344 , 511 , 531). Ye qatra mani nahi hai pak hai o ap faqt wazu kr k ebadat ko baja lasakte hen. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 70 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.