Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name sistani 
Question assalam-o-aliakum..baad salam main theen sawal krnachahti hun or woh ye hain ke.. 1)koi naye kaam me kamiyaabi ke liye dua ya koi amaal wagara hy? 2)namaz kin kin cheezo se batil hojati hy? 3)namaz kin kin cheezo se magru hojati hy? app ke jawab ki muntazir hun.. 
Answer Wssalam o alykum, 1 – Surah e Hijr (surah no. 15) ko likh kar apnay bazoo k sath bandh lain. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal , pareshani no # 30 , pg # 27). 2 – Namaaz ko batil karne wali cheezain ye hain, 1 – Namaaz ke dermiyaan namaaz ki shartoo main se kisi shart ka kam hojana, 2 – kisi esi cheez ka aariz hona jo wazo o gusal ko batil kar de, 3 – namazi apne hato ko aajzi o adab ki niyat se bhande, 4 – Sura e Al-Hamd pharne ke baad Ameen ka kehna, 5 – bageer kisi waja ke qible se ruk phere, 6 – jaan booj ke baat karna, 7 – Awaaz ke sath jaan booj kar hansna, 8 – ehtiyaat e wajib ke madd e nazar dunyavi kamo ke liye rona, 9 – esa kaam karna jis se namaaz ki shakal baqi na rehe, 10 – khana pena, 11 – 2rakati or 3 rakati ki rakato main ya 4 rakati namazoo ki 1st or 2nd rakato main shak karna or is shak per baqi rehna, 12 – namaaz ka rukun jaan booj kar ya bool kar kam kar dena ya jo cheez rukun na ho jaan booj kar kam karna ya bharana. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1113 to 1143). 3 – Fuqaha ke nazdeek chand chezo ki waja se namaaz main karahat aajati hai, un main se baaz ye hain, 1 – kale or mele or tang or sharabi ke libaas main or us shaks ke libaas main jo nijasat se phareez na karta ho or jis libaas per kisi chehre ki tasweer bani hoi ho, or is ke ilawa batan khole howe libaas main, or esi anghoti jis per chehre ki tasweer bani ho namaz ki halat main pehanna. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 853 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.