Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name ,, 
Question eid ul adha ka phrny ka tarika complete  
Answer Eid-e-qurban ki namaz 2 rakat hai,jis ki har rakat mai alhamd aur surah k baad 3 takbirain parhi jaein aur behter hai k pehli rakat mai 5 takbirain kahi jaen aur har 2 takbir k darmiyan aik qunoot parha jaey, aur 5th takbir k baad aik aur takbir kahay aur ruku mai chala jaey aur phir 2 sajday anjam day aur 2nd rakat mai alhumd aur surah k baad 4 takbirain kahay aur har 2 takbir k darmiyan qunoot parhay aur 4th takbir k baad aik aur takbir keh ker ruku mai chala jaey aur ruku k baad 2 sajday karay aur tashahud or salam parh ker namaz tamam karay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1500). (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa farmaye) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.