Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question assalamum alikym kya khums ke raqam zalzala zadgaan ki imdaad main de ja saktey hai jab ke is baat ka moqamal ilm ho key ye momineen ke hatoon se he motaseereen taq pohchi jaye gi. 
Answer zaroori hay kay khums 2 hisson main taqseem kiya jaey,is ka 1 hissa Sadaat ka Haq hay aur zaroori hay kay kisi faqeer syed ya yateem ya aisay syed ko diya jaey jo safar main naChaar ho gaya ho.lihaza aap jin hazraat ki madad ki khatir khums ki raqam day rahay hain agar wo sadaat hain aur faqeer yateem ya safar main naChaar hon to unko khums ka Adha hissa (yani Sehm e Sadaat) dena jaiz hay.jabkay khums ka dosra hissa Imam e Zamana AS ka hay kay jo zaroori hay kay maujooda zamanay main Jamiush sharait mujtahid ko diya jaey ya aisay kaamoo main kharch kiya jaey jis ki Mujtahid Ijazat day lihaza agar aap kay mujtahid nay aap ko Ijazat dee ho kay in zalzala zadgaan ki madad kay liye is raqam ko kharch kar saktay hain to aap kay liye khums ka ye hissa bhi unko dena jaiz hay.Aihtiyat e lazim ye hay kay mujtahid Arjae Aalam ho aur Umoomi maslihatoo say aagaah ho.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.272,Masala No.1804. 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.