Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question A.S.W.K JANAB MEE POUCH NA CHATA HU KE SHIA KUN HAI, ISS KOM KI SHURWAAT KHA SEE HU-E HAI, INKE MUSALLE PAR TO AAP MOHAMMED S.A.W NE BHE NAMAZ NAHI PADI HAI. PLZ DETALE MEE BATAE AUR THODI AASAN URDU MEE JAWAB DE  
Answer Wssalam o alykum, Mazhab e Shia dosre musalmano ki terhan Islaam ke mutaddad firqo main se ik firqa hai, lekin is ke or baqi musalmano ke dermiyaan jo farq hai wo ye hai ke jab baad Rasool Muhammad Mustafa (s.a.w) Khilafat(Janasheen Rasool) ka silsila chhera gaya to 2 qisam ke giroo manzar aam per aye, 1 – wo jo Hazrat Ali bin Abi-Talib ko khilafat ka haq-daar maante the, 2 – jinho ne Ali bin Abi-Talib ko khilafat ka haq-daar nahi mana, Tareek ne 1st gero ko Shia or 2nd ko Ahl e Sunnat ka naam diya. (Ref : Mazhab e Shia Imamiya , pg # 13). Or is tareek ka kulasa Hazrat Muhammad (s.a.w) se Bayan shuda 2 Hadeeso main poshida hai, 1 – meri ummat 73 firqoo main taqseem ho jaae gi, in 73 firqoo main se 1 ke ilawa tamaam jehannami hain(Ref : Ahsan ul Aqaid , mutarajjim o musharreh # Allamah Fazil Miqdaad , pg # 10). 2 – Rasool Allah (s.a.w) se rewayat hai jis main Ap (s.a.w) ne farmaya ke qasam hai us zaat ki jis ke qabze main meri jaan hai, ye (Ali bin Abi-Talib) or is ke SHIA hi qayamat ke din kaamyaab hone wale hai.(Ref : Shia-at ka Muqaddima , pg # 54(Or isi kitab men bohat sare ahl-e-sunnat k hawale mojud hen) Pas dono hadeeson or tareek ke pesh e nazar natija nikalta hai ke ager Shia Hazraat apne mazhab ke Usool o Furoo per imaan rakhain or khalis niyat se amal karain to Qayamat ke din kaamyab hain. (Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.