Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question aoa .. mera masla ye hay k mein her waqt shak mein rehta hun k mera jism pak hay ya na pak Kiu k mujhe aksar peshab mein mani k qatre ate hain . to kia is soorat mein ghusal farz ho jata hay ? or agr kisi b time mani ka qatra nikal jaye to kia tb b ghusal farz ho jata hay ? chahay qatra chota sa b ho ? Or mein jub b so kr uthta hu to mujhe lagta hay k mani ka qatra nikla hoga jub k mujhe nishaan nazar nhe ata per phr b main roz ghusal kr leta hun k shayed nikla ho ? jb tk mein ghusal na kr lu mein namaz nhe perh pata! or kia koi aisi video dekhney se agr qatra nikal jaye to tb b ghusal farz ho jaye ga ? 
Answer Wssalam o alykum, Mard ki sharam-gaah se peshaab o mani ke ilawa 3 esi ratobatain nikalti hain jo na hi pishaab hota hai or na hi mani, lekin in main se baaz mani jesi or baaz peshaab jesi hoti hain, or wo ye hain, 1 – wadi, 2 – mazi, 3 – wazi, or ye teno paak hain, na in se wazo totta hai, or na hi gusal wajib hota hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 70). Lehaza ager ye qatre un sifaat ke saath (shehwat, uchal ke nikalna, nikalne ke baad badan ka sust ho jana) nikal rahe hon jin ke sath mani ehtilaam ki halat main nikalti hai to ye qatre mani hai, or ager un sifaat ke sath nahi nikal rahe to mani nahi hain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 345 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.