Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Ayatullah sistani  
Question Meri biwi khula mang rahi hai main nahi de raha...wo meri taraf mail nai horahi hai aur humbistri nai karne ki dhamki de rahi hai...wo mujhe dhamki de rahi hai ke nikkah ke paper main coloumn no 18 main court ne aurat ko ye haq diya hai ke wo mard se khula le sakti hai aur rishta nibhane ki bina par main ne sign kardiya...wo kehti hai main court se judge se khula le longi agar aap ne mujhe khula na dia to...is ka matlab mujh pe haq mehar ka qarza rahe ga... Kia main maqrooz ho aur kia main ne apni biwi ko apne aap ki wakil bane ki ijazat de di sign kar ke aur agar nahi to kia wo khula court ki jo judge sign kare ga sahi hai wo 2 shadi kar sakti hai court ke khula lene par aur kia wo jiaz shadi ho gi...kia mera khula dene ka haq khatam hogaya sign karne se... 
Answer Ager ap us ko Shari Taalaq e Khula dene ke liye tayyar ho jaain to Taalaq e Khula ke tehat ap us se haq mehar balke is ke ilawa raqm bhi – talaaq dene per razi hone ke liye – le sakte hain, or bayaan karda sorat main talaaq ka sahi hona apki marzi per moqoof hai lehaza jab tak shohar razi ho ker talaq nahi de tab talaq durust nahi.court ki talaq k baad bhi wo aap ki bivi hen.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 2462 to 2472 , 2492 , Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.