Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name sistani 
Question salam,mera sawal ye hai ke me ak larki ko pasand kerta hoo ar wo bi bht kerti hai me shiya ho r syed hoo ar wo syeda hai mager sunni hai tw hamara nikah jaiz hai ar us ke abu nahi maan rahey hai ar keh rahe hai ke nikah jaiz nahi hai tw aap bta sakte hai ke nikah kis tarike se hona chaiye ya sunni tarike se ya shiya tarike se plzzz is ka jaldi koi hal btade ar dosra sawal ye ke sunni r shiya ke nikah me farak kya hai? 
Answer Ap ka us larki se nikah krna jaiz hai lekin ager is shadi ki waja se ap ke Deen o emaan main tabdili ka imkaan ho to phir jaiz nahi hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 215, Eidition 1417 hij)..Or larki k walid ki ijazat ke bageer nikah krna ehtiyaat e wajib ke madd e nazar sahi nahi hai.(Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 394 , eidition # 5) Update on dated 26-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.