Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name baap k marnay k baad jaidad mai haq 
Question Salam, Mera sawal hai aap logo kay topic say alag hai, kyun kay mai iss forum mai first time ayei hoon mujhai nahi pata mai kisay orr kahan post karong..... please meri help karain.. Masla yeh hai mene 8 saal pehlay shaadi ki orr mai bohat khosh haal zindagi guzarr rahi hoon apnai shohar k sath ... laikin aap problem yeh hai mere husband k bussiness mai investment lost hogay hai..... mere husband nay bohat koshish kari k koi investment karday magar koi tayarr nahi... phir mene shocha mai apni ami say cash lailoon ... meri 3 behan hain orr mere abu ki death hogay hai mere abu ki 1 corer say bi ziyada ki properties hain ... abb woo sub properties meri ami kay pass hain .... mene ami ko bola ami aap koi property sale kar k mujhai cash deidain tu unhoon nay kaha k mai kal soch kai bataoongi ... phir mai dusaray din gay apni ami k pass tu unhoo nay mana kardia orr kehnay lagi abhi nahi sale karongi .... phir kabhi time ayega tu dekhoongi mene kaha mujhai bohat zarorat hai mai barbaad hojaongi ..laikin ami nay meri aik na suni jab mene ziyada zidh kari k aaj abu hotay tu woo mujhai dai daitay aap kesi maa hain tu unhoon nay kaha meri marzi meri property mai jis ko chahoon doon jiss koo chahoon naa doon........ aap logo say iss maslay kaa haal chahti hoon ... yeh sari properties mere abu ki hain islam mai baap k marnay k baad bewa aurat kaa kitna haq hai shohar ki jaidad par ..... mai apna haq kese mango apni maa say joo mere abu chorr kar death hogayn hain ....... meri ami nay sari properties mai kabza karlia hai ...mene jab unko kaha k aap mera haq daidain abu ki jaidad mai say sub total karlain properties phir hum sister mai divide kar k mujhai daidain orr mene yeh b kaha aap nay meri shaadi mai jita paisa lagaya woo bhi kaat lain orr joo banta hai mujhai daidain tu unhoo nay kaha sub mera hai mai kuch nahi dongi tumhe tumhari shaadi kardi yehi bohat samjhoo orr meri sisters nay bhi mera sath nahi dia sub nay dhakay marr k mujhai ghar say nikal dia ..........aap loog mujhai haal batain mai kesay apna haqq apni ami say loon mujhai haal dain mai bohat paraishan hoon mai kiss tarhaan apna haq unsay loon orrr kistarhaan divide karoon .. meri 3 sisters hain brother nahi hai aab kistarhan calculation hogi orrr kisss tarhaan unsay apna haq looo ??????  
Answer 1)Aap k walid ki property men aap ki walida ka faqat (Aathwaan 1/8) hai, or baqi property ko aap or appki teeno behno men braber taqseem kiya jaey ga. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 991-1058, Eidition 1417 hij) 2)Lekin aap ki waalida ko jaedaad main se ghar ki zameen or is hi terhan or dosri zamenain men se keo hissa nahi mile ga, (chahe in per ghar bane hue hoon ya nah hoon, or chahe in per baghaat waghera hoon ya nah hoon) or nah hi zameen ki qeemat main hissa hoga, lekin agar khali zameen per taameer shuda chezo ko beecha jaey (jese zameen per ghar ya baghaat waghera) to in ki qeemat se merhoom ki bewa(yani aap ki waalida) ko 1/8 hissa mile ga or is hi terhan dusri cheezoo main bhi hissa mile ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2728).Or agar aap k liay apna hissa adalat ki taraf ruju kiay baghair mumkin nah ho to ghair islami adalat k zariay apna hissa lena jaiz hoga.(Ref : Aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 225 , eidition # 5). Update on dated 29-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.