Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question my question is related about mutah.. mahar ke minimum amount kitne hay ya nikah parhtay waqt mutah k lia mahar rakhna zaroore hay? or Ager kise aesee larke say mutah kia jaraha hay k jo shia nahi per muslim hay Jaisay memon or sunni wagaera So is k saath mutah kernay k lia us k father ya grandfather ke permission layna hoge?? 
Answer 1)Nikah e Muta se pehle Meher or muddat ka taey kerna zaruri hai, Meher ki koi moayyan miqdaar nahi hai, Albatta ye zaruri hai k itna kam nah ho k us ki koi maaliyat hi nah ho. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 287 , Eidition 1427 hij). 2) Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.