Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question Salaam. Sajda-e-Sahoo ka kiya tareeqa hai or keb kiya jata hai. 
Answer Tareeqa : Sajda-e-Sahw ka tareeqa ye hay k Namaz k Salam k baad foran Sajda-e-Sahw ki Niyyat Karay aur Aihtiyat ki bina par kisi aisi cheez par Paishaani rakh day jis par Sajda karna Sahih ho.aur Aihtiyat-e-Mustahib hay k Sajda-e-Sahw main Zikr Parhay aur Behtar hay k ye kahay "Bismillahi wa billah Assalaam o Alaika Aiuhannabiiu warahmatullahi wabarakaatuh" is k baad usay chahiye k baith jae aur dobara sajday main jaey aur pehlay wala Zikr parhay aur baith jaey phir Tashaahhud parhnay k baad kahay " Assalaamo Alaikum " aur behtar ye hay k warahmatullahi wabarakaatuhu ka Izaafa karay. Wo Maqamaat jahaan Sajdae Sahw wajib hota hay : Do(2) Soortain hain. 1:Tashahhud bhool jana. 2: Chaar(4) rakaati Namaz main doosray sajday k doraan Shak karna k Char(4) rakatain parhi hain ya Paanch(5). In Teen(3) Soortoon main Do Sajda e Sahw karna Aihtiyat ki bina par Zaroori hay. 1:Namaz k baad Ijmaali tor par Ilm ho jaey k koi cheez kam ya ziada ho gae hay jab k Namaz sahi honay ka Hukum ho. 2:Namaz ki Halat main bhoolay say baat karna. 3:Jahan Salaam na parhna zaroori ho e.g Pehli Rakat wahan bhoolay say salam parh lena. Ref: Tauzeehul Masail (A.Sistani) Masala 1237,1223.  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.