Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Assalam-0-ALyekum mai peshab karke jb nikalta ho to mjh phir peshab ki hajat ho rahi hoti hai bar bar peshab aata hai or drops bhi girte hai jis se namaz mai pareshani hoti hai 
Answer 1.Agar kisi shakhs ko ye merz ho k paishab k qatray girtay rehtay hoon, agar osay Yaqeen ho k Namaz k Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak itna waqfa mil jaey ga k wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay k waqfay k doraan namaz parh lain aur agar osay sirf itni muhlat milay jo namaz k wajibaat ada karnay k liay kaafi ho to is doraan sirf namaz k wajibaat anjaam day aur zaroori hay k Mustahab Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day. 2.Agar os ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz k dooran aik martaba ya chand martaba paishab k qatray kharij ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat k dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz k doraan Lazim nahi hay k paishab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay.. 3.Agar os ko wuzu kar kay namaz ka kuch hissa parhnay ki bhi muhlat na milti ho to aik wuzu chand namazoon k liay bhi kafi hay siwaey ye k koe doosra mubtilaat e wuzu anjaam day dain masalan so jaain waghaira albatta behtar ye hay k har Namaz k liay aik baar wuzu karay,laikin Qaza sajday,Tashahhud aur Namaz e Aihtiyat k liay doosra wuzu zaroori nahi.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah#306-308 ). Wazifa: Sorah zumar(sorah#39) ki ayat # 67 qatray qatray peshab aanay k liay likh ker mareez ki kamar main bandh dain or zaafran se likh ker pee lain tu aap ko ifaqa hoga.(Ref: nawaay saliheen, pg#329). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.