Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Baligh 
Question Slam. Mera que ye hai k ek baligh lrke ko kia kia info hone chae? Plz jawab lazmi dejeyga. Tafseel s. 
Answer 1) Her mukallaf (baligh o aaqil) musalmaan k liay usool e deen ko baseerat k saath (daleel k saath) jaanna zarori hay.laikin agar wo Islam k sahi aqaid per yaqeen rakta ho or is ka izhaar kerta ho agarchah ye izhaar daleel k bagair ho tab bhi wo musalman or momin hoga.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masa،il, Maslah# 1). 2) Deeni ehkamaat main musallamah or qat,e umoor ko chorh ker baqi ehkamaat main zarori hay k ya tu mujtahid hoon(yani ehkaam ko daleel k zerye hasil karain) ya kisi mujtahid ki taqleed karain ya phir ehtiyaat per amal karain(maslan agar chand mujtahid kisi amal ko haram qaraar dain or chand haram nah kahain tu os amal se perhaiz karain or agar baaz mujtahid kisi amal ko wajib or baaz mustahab qaraar dain tu os ko zaroor bja laa,ain). 3) Mukallaf(baligh o aaqil) k liay wo tamaam masail seekhna lazim hain jin k baray main ehtemaal hay k nah seekhne ki wajah se khuda ki masiyat(nafermani) main mubtila ho sakta he, yani kisi wajib ko terk kerne ya kisi haraam ko anjaam saine ka murtakib ho sakta hay. Note:deeni ehkamaat per amal kerne k laiy sab se asaan tariqa taqleed hi hay.mujtahiod banna(mufti) or or ehtiyaat per amal kerne k liay kaseer ilm ko waqt ki zarorat hoti hay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.