Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question KON SAW GUNNAH-E-QABERA HAI JIS KI TOBA NI HOTI SHIRK K ELAWA 
Answer Quran e kareem main khuda ka fermaan hay k : “Allah is baat ko maaf nahi kersakta k oska shareek qaraar diya jay or is k alawa jis ko chahay bakhsh sakta hay or job hi iska shareek banaay ga os nay bohot berha gunah kia hay. (Ref:Sorah#4 Nisaa, ayat#48) “Allah is baat ko maaf nahi kersakta k oska shareek qaraar diya jay or is k alawa jis ko chahay bakhsh sakta hay or job hi iska shareek qaraar day ga wo gumrahi main bohot door tak chala gaya hay. (Ref:Sorah#4 Nisaa, ayat#116) Note: wazeeh rahay k sorah e nisaa ki ayat # 48 main jis maghfirat ka zikr hay os k 5 asbaab hain: tauba, hasanaat(naikiyaan), gunah e kabira se ijtenaab, shafaa,at, khuda ka afu o darguzar, in asbaab k baghair bakhshish ka koe tasawwur nahi hay.or is ayat main wada nahi kia gaya hay k shirk k alawa her gunah ko maaf ker diya jay ga balkeh maslah ko mashiyat per moqoof kiya gaya hay k jab tak insaan ko mashiyat ka ilm nahi hay osay apni maghfirat ka intezaam khud kertay rehna chahiaay(Ref: Allama Zeshan Haider Jawwadi k tarjumay e quran ka Hashiya pg#204-5 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.