Answer |
9 muharram ko roza rakhna jaiz hay balkeh mustahab hay. or 10 muharram ko roza rakhna jaiz hay laikin makhroh hay (yani behter hay k aashora k din roza nah rakha jay or agar koe is din roza rakh lay tu ye kaam haram bhi nahi hay) . (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masa,il, Maslah#1718).
Aashora ko roza rakna haram nahi hay, laikin afzal ye hay k imam husaain(a.s) or on k ashaab k gham main namaz e asr k baad tak khane peenay se rokay rahain or namaz e asr k baad is faqay ka iftaar pani se kia jay.(ref: http://sistani.org/index.php?p=297396&id=569). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|