Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name syed ali hussaini seestani  
Question i have question i live in usa MERREA nikha pakistan may howa hay RUKHSATi nahee howee aur may nay apnee wife kay sath tanhai may koee milaqat nahee howee sirf aik may nay apnay susral may raath ka khana khaya aur may usee raath usa aaygaya nikha ko 1 saal hogaya hay mere apnee wife say bilkul nahee buntee aur aisa kaee dufa howa hay larrai kay 30 din tuk na hee koee MESSAGE NAHEE HOTA AUR NAHEE KOEE PHONE PAY BAAT HOTEE HAY nikha kay baad may pakistan wapis nahee aya may abba taalak chata hao please mujhay detail answer day kia tareeka hoga may phone pay molana sahab say baat karna chaata hou koee number send karday ITRAT ZAIDI  
Answer Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain. 1) Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima (intercourse) nah kia ho. 2) Talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3) Zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4) Talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. 6) Zarori hay k aurat talaq k waqt haiz ya nifaas say paak ho or os k shohar nay oski is paaki k doraan jis main talaq di jaay os say hambistari nah ki ho. Aurat ko haiz ya nifaas ki halat main 3 soorto main talaq dayna sahi hay. i. Sohar nay nikah k bad is say hambistri na ki ho. ii. Maloom ho keh wo haamlah (pregnant) hay or agar ye baat maloom nah ho or shohar osay haiz ki halat main talaaq day day or baad main shohar ko pta chalay keh wo haamlah thee tu wo talaq baatil hay. iii. mard gair hazri ya kisi bhi wajah say ye maloon na kar sakta ho k wo haiz ya nifas say pak hay ya nahi. Lakin is surat may ehtiat e wajib ki bina par zaroori hay k merd intezar karay ta k biwi say juda honay k bad kam az kam aik mahina ghuzr jay is k bad osay talaq day. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 ). Talaq ki 2 aqsaam hain talaq e ba,in or talaq e raj,ee. Talaq e ba,in wo talaq hay k jis k baad merd apni aurat ki taraf ruju kernay ka huq nahi rakhta yani k baghair nikah k dobara osay apni bivi nahi bana sakta yani jab oski bivi ki iddat khatam ho jay tu os se jaeed nikah ker k apni bivi bana sakta hay. Or talaq e raj,ee wo talaq hay k hab tak aurat iddat main main ho tu shohor os se ruju ker sakta hay(yani baghair nikah k os se ruju ker sakta hay ).or iddat khatam honay k baa dos se nikah ker k os ko bivi bana sakta hay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah# 514). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Or Hujjatul Islam Maulana ali raza mehdavi wakeel e Ayatullah Sistani(d.b) se phone par baat kerne k liay aap subah 09:00 am se 01:00 pm Pakistan standard time k mutabiq baat ker saktay hain: or phone number ye hain: (0092-213) 2226948 – 2237207. Mazeed detail k liay aap hamari web site par visit ker saktay hain jis ka link ye hay:( http://www.qoitrat.org/about/). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.