Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question maghrib aur isha ki namaz ka time kab tak rehta hai?kia isha ki namaz ka time namaz e subah se pehle tak rehta hai? 
Answer Maghrib aur Isha ki Namaz ka waqt Mukhtar Shakhs (wo shakhs jis kay liye Namaz ko waqt main parhna mumkin ho aur sharaan koi uzr na rakhta ho)kay liye aadhi raat (Raat ka hisab Sooraj guroob honay ki ibtidaa say tuloo e fajr tak hay) tak rehta hay laikin jin logoo ko koi uzr ho masalan bhool janay ki wajah say ya Haiz ya in jaisay doosray umoor ki wajah say agar wo aadhi raat say pehlay wo namaz na parh sakay hoo to un kay liye maghrib aur isha ki namaz ka waqt tuloo e fajr tak baqi rehta hay.Agar koi Ikhtiyari haalat main maghrib aur Isha ki namaz aadhi raat tak na parhay to aihtiyat e wajib ki bina par zaroori hay kay Azan e Subh say pehlay Ada aur Qaza ki niyyat kay baghair in namazoo ko anjaam dain.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.724,728. 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.