Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question Is wudhu compulsory after any wajib ghusl or mustahab ghusl for namaz? 
Answer Jis shakhs nay ghusl e janabat kiya ho zaroori hay kay namaz kay liye wuzu na karay balkay doosray wajib ghusloon kay baad bhi (siwaey ghusl e Istihaaza e Mutawassita) aur Mustahib ghusloon kay jin ka zikr Masala No.634 main kiya gaya hay baghair wuzu kay namaz parh sakta hay,Agarchay Aihtiyat e Mustahib ye hay kay Wuzu bhi karay.....Masala No.634 main In Mustahib ghusloon ka tazkira kiya gaya hay.1-Ghusl e Juma,2-7-Ramzan ki 1st,17th,19th,21st,23rd aur 24th raat ka ghusl,8-9- Eid ul Fitr aur Eid e Qurbaan ka ghusl,10-11-Zilhajj kay 8th aur 9th din ka ghusl,12-Us shakhs ka ghusl jis nay apnay badan ka koi hissa aisi mayyat kay badan say mass kiya ho jisay ghusl day diya gaya ho,13-Aihraam ka ghusl,14-Haram e Makka main daakhil honay ka ghusl,15-Makka Mukarrama main dakhil honay ka ghusl,16-Khana e Kaaba ki ziarat ka ghusl,17-Kaaba main dakhil honay ka ghusl,18-Zibah aur Neher kay liye ghusl,19-Baal Moondnay kay liye ghusl,20-Haram e Madina main dakhil honay ka ghusl,21-Madin e Munawwara main dakhil honay ka ghusl,22-Masjid e Nabavi main dakhil honay ka ghusl,23-Rasool SAWW ki Qabr e Mutahhar say widaa honay ka ghusl,24-Dushman kay saath mubahila ka ghusl,25-NauZaida bachay ko ghusl daina,26-Istikhara karnay ka ghusl,27-Talab e Baaraan ka ghusl..Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.389,684. 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.