Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Mujhy ihtlam bohot shidat sy hota hy gram cheze bhi kam khata hu kisi hakeem k hath main nahi jana chahta ilaj hy to warna kuch ihtiat o kalamat batay  
Answer 1)Agar kisi shakhs ko ye khof rehta ho k wo neend ki halat me muhatalim na ho jey is lie use chahaie k jab wo raat ko soney lage to ye dua parhe ethilam se amaan me rahe ga, Dua ye he ﺍﻟﻟﻬﻢ ﺍﻨﻰ ﺍﻋﻭﺬﺑﻚ ﻣﻦ ﺍﻻﺣﺘﻼﻢ ﻮ ﻣﻦ ﺴﻮﺀ ﺍﻻﺣﻼﻢ ﻮ ﻣﻦ ﺍﻦ ﻴﺘﻼﻋﺐ ﺒﻰ ﺍﻠﺷﻴﻂﺎﻦ ﻔﻰ ﺍﻠﻴﻘﻇﮫ ﻮ ﺍﻠﻤﻨﺎﻢ (ALLAA HUMMA IN,NEE A,OO,ZO BI KA MI,NAL EHTILAAMI WA MIN SOO,EIL AH,LA,MI WA MIN AN YA,TA,LAA,ABA BI,YASH, SHAI,TAANO FIL YAQ,ZA,TI WAL MANAAMI). (Ref : Mafateehul jinaan k hasheeya mai, mutarajjim allamah akhter abbas sahib, pg # 123-4). 2)Surah e al tariq k khawas me he k sotay waqt is ko parh k soye to ethilam nahi ho ga. (Ref : mukhzane amaliat pg # 64, 65) 3)Sonay say pehlay ba-wazoo halat mai surah e mea,rij(surah no. 70) ko aik martaba parhay aur surah e noor likh kar takiay(pillow)k nichay rakhay to ehtilam sai mehfooz rehay ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 322) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.