Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question ager mard or urat kahi asi jaga ho jaha na koi masjid ho na koi molvi wo nikha kerna chahte hoo to kesy kere gey.ager un ke pas quran majeed majood hoo to kya tariqa hai nikha kerne ka kya quran ko gahwa banye gay ya quran may koi aisi surat majood hai jis ko donoo pehre lay to nikha ho jay ga .molvi ke bagher quran ke mojdgi may nikha kase ho ga . 
Answer Agr baqi tmam sharten poori hen to larki or larka apna nikah khud parh sakte hen, or agr larka or larki arabi men nikah na parh sakte hen to kisi dusri zaban men parh sakte hen, albatta ye zaruri hai wo nikah men ayse alfaz istamal kren jo arabi k nikah wale alfaz ka mafhoom ada kren. Arabi k wo 2 lafz ye hen, pehla wo jo larki ko kehna hota hai زوجت (is ka matlb ye hai k men khud ko apki zojiyat men deti hun) or dusra wo lafz jo larka kahega قبلت (is ka matlb hai mene qabool kiya). Or nikah k liye kisi ko gawah banana zaruri nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335). Update on dated 07-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.