Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Taqleed? 
Question Taqleed Kia Hy?Kaisay Karain?Agar Deen Allah Or Mohammad Wa Aalay Mohammad Ka Hy To Deen Ki Taleemat Ko Kisi aalim ya Banaday Say Mansoob Karnay KI Kia Daleel Hy? 
Answer Imam Mehdi a.s. farmatay hein: “Gaibat e kubra k zamanay mai pesh aanay walay halaat k silsilay mein hammari hadisoo ko bayan karnay walay ravioun ki taraf roju karoo q k wo humari taraf sai tum par hujjat hein jis terah hum ALLAh ki taraf sai tum par hujjat hein.” Imam k is farman k pesh e nazar un tamaam logo par jo darja e ijtehad par faiz nhi hain, apnay zamanay k mujtahid ki taqleed krna wajib hai q k is k bagair in ki abadat aur aisay tamaam aamaal jin mai taqleed zaroori hai batil ho jatay hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) pg: 6) 1)Taqleed mujtahid k fatwe k mutabiq amal karney ka naam he is terah mujtahid ki rae k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahea usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap ne apne amal ko haar ki terah mujtahid ki garden me daal dia he aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya he. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl pg # 49) 2) Her mukallaf(baligh merd or aurat) per wajib hay k jo ijtehaad k darjay tak nah pohncha ho wo tamaam ibdaat or maamlaat or tamaam afaal(kaamo) k kernay or terk kernay main ya tu muqalid ho ya ehtiyaat per amal kerta ho.(Re: Ayatullah sistani(d.b), minhaajus saliheen part#1, maslah#1). 3) Jo khud mujtahid na ho aur na he ehteyat per amal karta ho us k lye wajib hai k kise mujtahid ki taqleed kare. Jis shaks ki taqleed ki jaay wo(1) mujtahid (2) mard (3)baliq(4) aqil(5) shia(6) halal zada(7)zinda ho aur adil ho ) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.