Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name SISTANI 
Question KIA FIQH JAFFRIA KAY TEHT HUM KHASI BAQRAY KI QURBANI KAR SAKTAY HAY AGAR HA TO KUN KUN SI SHARIAT HAY 
Answer 1. Qurbani kerna takeed k saath mustahab hay. 2. Qurbani k jaanwer main on sifaat ka hona zarori nahi hay jo k hajj ki wajib qurbani k jaanwer main hay, layhaza kaana(One eyed), langrha(Lame), kaan kata, seengh toota, khassi aur dublay jaanwer ki qurbani jaiz hay. agarchah afzal ye hay k mukammal aaza(parts) or motay(Fat) jaanwer ki qurbani ki jaay. 3. Qurbani k jaanwer main mutabir hay k wo 3 qisim k maweshi main se ho yani 1-aunt, 2-gaay or 3-bheerh, bakri , dumba ho, or ehwat{lazim} ki bina par jis aunt k 5 saal mukammal nahi hoay hoon or jis gaay or bakri k 2 saal mukammal nahi hoay hoon or jis bherh, dumbay k 7 mahinay mukammal nahi hoay hoon, kaafi nahi hay. 4. Qurbani soraj nikalne se pehlay nahi ki jasakti.(Ref: http://www.sistani.org/index.php?p=297396&id=271 )  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.