Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question Kiya namaz-e-Jumma kay lia jo Ghsel kiya jata hai us kay baad wazoo ki zarooret hoti hai. Or wo kon kon say Ghosel hain jin kay baad namaz kay lia wazoo ki zarooret nahi hoti.  
Answer Jis shakhs nay ghusl e janabat kiya ho zaroori hay kay namaz kay liye wuzu na karay balkay doosray wajib ghusloon kay baad bhi (siwaey ghusl e Istihaaza e Mutawassita) aur Mustahib ghusloon kay jin ka zikr Masala No.634 main kiya gaya hay baghair wuzu kay namaz parh sakta hay,Agarchay Aihtiyat e Mustahib ye hay kay Wuzu bhi karay.....Masala No.634 main In Mustahib ghusloon ka tazkira kiya gaya hay.1-Ghusl e Juma,2-7-Ramzan ki 1st,17th,19th,21st,23rd aur 24th raat ka ghusl,8-9- Eid ul Fitr aur Eid e Qurbaan ka ghusl,10-11-Zilhajj kay 8th aur 9th din ka ghusl,12-Us shakhs ka ghusl jis nay apnay badan ka koi hissa aisi mayyat kay badan say mass kiya ho jisay ghusl day diya gaya ho,13-Aihraam ka ghusl,14-Haram e Makka main daakhil honay ka ghusl,15-Makka Mukarrama main dakhil honay ka ghusl,16-Khana e Kaaba ki ziarat ka ghusl,17-Kaaba main dakhil honay ka ghusl,18-Zibah aur Neher kay liye ghusl,19-Baal Moondnay kay liye ghusl,20-Haram e Madina main dakhil honay ka ghusl,21-Madin e Munawwara main dakhil honay ka ghusl,22-Masjid e Nabavi main dakhil honay ka ghusl,23-Rasool SAWW ki Qabr e Mutahhar say widaa honay ka ghusl,24-Dushman kay saath mubahila ka ghusl,25-NauZaida bachay ko ghusl daina,26-Istikhara karnay ka ghusl,27-Talab e Baaraan ka ghusl..Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.389,684. 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.