Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name none 
Question salam mjhe yeh pochna hai k taqleed kiya hai? isko kerna kyun lazim hai? fl zamana itne sare mujtahid hain to phr kiski taqleed kerne chahye? Aksar log kehte hain k hum Imam zamana a.s ki taqleed kerte hain na k gair masoom ki plz reply as soon as possible 
Answer 1)Imam Mehdi a.s. farmatay hein: “Gaibat e kubra k zamanay mai pesh aanay walay halat k silsilay mein hammari hadisoo ko bayan karnay walay ravioun ki taraf roju karoo q k wo humari taraf sai tum par hujjat hein jis terah hum ALLAh ki taraf sai tum par hujjat hein.” Imam k is farman k pesh e nazar un tamaam logo par jo darja e ijtehad par faiz nhi hain, apnay zamanay k mujtahid ki taqleed kerna wajib hai q k is k baghair in ki ibadat aur aisay tamaam aamaal jin mai taqleed zaroori hai batil ho sakte hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) pg: 6) 1)Taqleed, mujtahid k fatwe k mutabiq amal karney ka naam he is terah mujtahid ki rae k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahea usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap ne apne amal ko haar ki terah mujtahid ki garden me daal dia he aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya he. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl pg # 49) 2) Her mukallaf(baligh merd or aurat) per wajib hay k jo ijtehaad k darjay tak nah pohncha ho wo tamaam ibdaat or maamlaat or tamaam afaal(kaamo) k kernay or terk kernay main ya tu muqalid ho ya ehtiyaat per amal kerta ho.(Re: Ayatullah sistani(d.b), minhaajus saliheen part#1, maslah#1). 3) Jo khud mujtahid nah ho aur nah he ehtiyaat per amal karta ho us k liay wajib hai k kise mujtahid ki taqleed kare. Jis shaks ki taqleed ki jaay wo(1) mujtahid (2) mard (3)baligh(4) aaqil(5) shia(6) halal zaada(7)zinda ho aur adil ho ) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 4)agar ye baat ijmalan maloom ho k dar paish masael main mujtahideen k fatwe aik doosre se mukhtalif hain tu zarori hay k is mujtahid ki taqleed ki jay jo ‘alam’ ho yani apne zamane k degar mujhtahideen ki nisbat ehkam e ilahi ko samajhne ki behter salahiyat rakhta ha. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.