Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question asalam u likum karee sab mai apne nafs ko qabo nahi pai reha mai bohat pershan ho meri umer abi 16 saal ha aur muja 3 saal ho gai ha mai qaboo nahi pai re jab bi mai qabo kerne kia koshishi kerta ho wo 2din ye 3din bas qabo rehti ha maire kuch kare aur app ka shokri bohat bohat aur mai toba kai lia nafal bia perta ho aur muja bohat mushkil ha allah hafiz 
Answer Hand practice(Istimna) karna kisi bhi zariay se ho haram he. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 462 pg # 253) 1)sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gay.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain.aap koshish karain k aap khud ko dosri mufeed kaamo main masroof ker lain jaisay khail, perhae waghaira waghaira or har os cheez se perhaiz karain jo aap ki jinsi khahish ko ubhaaray.or agar aap khud per qaabo nah rakh saktay hoon tu aap k liay wajib hoga k aap nikah karain.(E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010) 2) Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) 3)Jo shakhs shadi na karnay ki wajah se fail e haram me mubtila hota ho os per wajib he k shadi karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) ghunahoon se bachnein k bohat se tariqe hain jin me se chand ye he k 1)mout ki yaad ko dil main bassa’en 4) ye tassawur karain k khuda aap ko har waqt dekh reha hay. 5)khaas taur per namaz e shab ki pabandi karain. 6)Pakiza aur halal ghiza kahain…. etc (ref : kitab tark e ghunahan k 40 tareeqe). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Hazrat imam jaffer e sadiq (a.s.) ka irshad he k surah e alhamd ka parhna mout k siwa har bemari ki dawa he. surah e hashr ko kholoos e dil k saath parhein to inshallah shifa ho gi. (Ref : Kitab Payam e Shifa pg # 208 , 209) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.