Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Ayatollah Syed Ali Hussaini Sistani 
Question Salam un Alaikum molana sahib main ap se pochna chahta ho k jo cake hamein christian chrismis (25 decemeber) pe apni khushi se daitey hai kya wo hamarey liye khana jaiz hai ya nahi? please Sistani sb k fatwa k mutabiq jawab de kr mashkoor farmaen. 
Answer Yahodi, Esae or majosi paak shumaar kiay gay hain is liay musalman onka khana kha sakta hay , chahay onho ne khane ko gila haath lagaya ho, is shart k saath k hamain is baat ka yaqeen or itmenaan ho k is khane main sharab or is jaisi deegar cheezain shamil nahi jin ka khana haram hay. albatta ghost or cherbi(oil, ghee) or in se bani hoe chezo k makhsoos ehkaam hain. (Ref:A.sistani(d.b),jaded fiqhi masa’il, masalah #152). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.