Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question agher koi aisa kapra ho jis ko dohnay k baad nickora nahi ja sakta for example (molty form) ya (4pai) tau is surat mai with out nichoray paak ho jai ga. 
Answer Molty Foam un cheezoon main say hay jin ko nichora ja sakta hay.Agar najis cheez ko kur ya jari pani main aik martaba yoon duboo diya jaey kay pani is kay tamam najis maqamaat tak pohunch jaey to wo cheez paak ho jaey gee aur qaaleen ya daree aur libaas waghaira ko paak karnay kay liye isay nichorna aur isi tarah malna ya paaon say ragarna zaroori nahi hay.aur agar badan ya libaas peshaab say najis ho gaya ho to usay kur paani main do martaba dhona zaroori hay albatta jari pani main aik martaba dhona kafi hay.agar najis chatai ko jo dhaagoon say bani hoi ho kur ya jari pani main duboo diya jaey to ain-e-najasat door honay kay baad wo paak ho jaey gee,laikin agar usay qaleel pani say dhoya jaey to do martaba dhonay kay saath jis tarah bhi mumkin ho is ka nichorna zaroori hay khwah is main paaon hi kion na chalanay parain,takay is ka dhowan alag ho jaey.(Lihaza charpai ko agar qaleel pani say dhoay to jis tarah bhi mumkin ho is ka nichorna zaroori hay)Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.153,154,157.  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.