Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name ma 
Question main bohat wada khilafi karta hon meharbani kar ke mujhe koe ache salah de mari koe madad kare take main is bad tareen gunah se bach saaakoon 
Answer Momineen or saliheen ki sifaat main aik ye hay k wo qaul o fail main sachay hoon or wada wafa karain.Allah ne apne nabi Isma,eel(a.s) ki in alfaaz main tareef ki hay: “wo waday k sachay thay or khuda k rasool or nabi hain. ” Or Rasool e akram (s.a.w.w) ne fermaya : “ jo shaks khuda or rooz e aakhirat par emaan rakhta ho osay chahiay k jab kisi se wada karay tu os pora karay.” Sach boolna or wada ki wafa kerne ki ehmiyat yaheen se zahir hoti hay k bohot se ghair muslim Islam k baray main apna faisla ya raay ka izhaar mulasmano ki rawish or on k kirdaar ko daikh ker kertay hain.Chunachah aisay musalman bohot hain jinho ne apne pasandidah kirdaar k zarye Islam ko ghair muslimo k saamne behtareen andaaz se paish kia or on afraad ki bhi koe kami nahi jo apne kirdaar k zerye Islam ko daaghdaar{yani badnaam} kertay hain.(Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 307). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.