Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question kin kin halaton main sijda-e-sahw jaruri hai meharbani ker ke tafsil main batain 
Answer Zarori hay k insaan namaz k salam k baad 2 cheezo k liay is tariqay k mutabiq jis ka zikr ho ga 2 sajda e sahw karay: 1)-tashahud bhool jana. 2)-4 rakati namaz main doosray sajday k doran shak kerna k 4 rakatain perhi hain ya 5 ya shak kerna k 4 rakatain perhi hain ya 6. Or 3 sorato main ehtiyaat e wajib ki bina par zarori hay k 2 sajda sahaw baja lain: 1) namaz k baad ijmali taur par maloom hojaay k koe cheez kam ya ziyada hogae hay jab k namaz par sahi hone ka hukum ho. 2)namaz k halat main bholay se koe baat kerna. 3)jahaan salam nah perhna zarori ho maslan 1 rakat , wahaan bholay se salam perh laina.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1213). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.