Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question asalam o alaikum sir mjuey ye pata hey kis tarha namaz parhi jati hey aur kitni suuat hein aur kitney farz lekin merey ko yeh nhi pata k kon si surat parhni hey aur mujey surtey bhi nhi ati meri madat karein 
Answer 1- Zarori hay k insaan rozana ki wajib namazo ki pehli or dosri rakat main pehlay sorah al-hamd or phir kisi aik sorah ki tilawat karay or ehtiyaat ye hay k aik mukammal sorah ki tilawat karay.sorah e zuha(sorah#93) or sorah e alam nashrah(sorah#94) ki sortain or isi terah sorah e feel(sorah#105) or sorah e quraish(sorah#106) ehtiyaat ki bina par namaz main aik sorat shumaar hoti hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# ). 2- Namaz main quran majeed se sorah daikh ker perhna makhrooh hay .or agar aap ko sorah yaad nahi hay tu on ko daikh ker perh lain.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1144)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.