Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Khamnaie 
Question 1)mairi walda kai 10 sal kai rozay qaza hain,wo rakh nahi saktien us ka kafara kiya hai or miqdar us ki kitni banti hai?  
Answer Agar aurat jaanti ho k Roza us par Wajib hay aur is ki qaza bhi wajib hoti hay aur baghair uzr k Roza na rakhayto us par qaza k saath kaffara bhi wajib hoga aur sirf pehlay saal qaza na karnay ka Fidya bhi dena hoga.Aur Kaffaray k liye 60 Miskeenoo ko 750gm Gandum denaa kaafi hoga Aur Fidya k liye 750gm Gandum kisi Faqeer ko dena kaafi hoga.Aitiyaat-e-Wajib ki bina par Kaffara ka yehi hukum hoga agar wo Jahil-e-Muqassira hoaur Rozoon k mutalliq taraddud main ho.Haan Agar woh Roza wajib honay k baray main na jaanti ho aur Jaahil-e-Muqassira bhi na ho to us par sirf Qaza karna wajib hay.Aur agar us k liye Rozay rakhna mumkin na ho to usay chahiye k wo aisay shakhs ko wasiyat kar jaey Jis par bharoosa ho k Us ki Wafat k baad wo is k roozoon ki Qaza Karwaey ga.  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.