Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Sistani 
Question Salaam, kya maafi hote hai ek shaadi shoda aurat ki jo zina karty hai? Kya showar ko batana zarori hote hai k us ne zina ge hai aur es k maafi k tariqa bataye plz thanks 
Answer 1-Agar shohordaar aurat zina karay tu ehtiyaat e wajib ki bina par wo zaani par hamesha k liay haram ho jati hay, laikin apne shohor par haram nahi hoti or agar tauba o istighfaar nah karay or apne amal par baaqi rahay(yani zina kaari terk nah karay) tu behter ye hay k oska shohor osay talaq day day laikin shohor ko chahiay oska meher bhi day day. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masa,il, Maslah#2367 ). 2-kisi insan k liay jaiz nahi hay k wo kisi shaks k saamne apne gunaho ka zikr karay, chahay hasrat ka izhaar kertay hoay ya tauba o nidamat ka izhaar kertay hoay.(Ref:A.Sistani(d.b),mujtahid se pochay gaay sawalaat,part#3, maslah# 229) 3-Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) (Ref: Naeem ul aamaal pg# 316) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) ok  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.