Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question phayli rat nafal ik sat kharay ho ky parnay haan yah kisi or tahran yah miyn agay karay ho k paray ga bivi usky pichay jo tarika hy bata dayn or phayli raat hambistari karna zarori hy ky nahi matlb bad main bhi kar saktay hn jaysy ik dusray ko janay ky baad 
Answer 1) Jab bhi merd or aurat aik saath namaz perhna chahain tu ehtiyaat e lazim ki bina par zarori hay k aurat merd se kam se kam itna pechay kharhri ho k os k sajda kerne ki jagah, sajday ki halat main merd k dono guthno k baraber ho.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# Before 874) 2) Agar koe aurat merd k baraber ya aagay kharhi ho or dono aik waqt main namaz perhne lagain tu ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hay k namaz ko dobara perhain , yehi hukum hay agar aik, dosray se pehlay namaz shuru ker day.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 874) 3) Agar merd aur aurat aik dosray k baraber kerhay hoon ya aurat aagay kerhi ho or dono namaz perh rahay hon laikin dono k dermiyaan diwaar ya perdah ya koe aisi chhez haa,il(maujood) ho k aik dosray ko nah daikh sakain ya on k dermiyaan 10 haath se ziyada ka faasla ho tu dono ki namaz sahi hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 875). 4) Shadi ki pehli raat hambistari kerna wajib nahi hay. (ref : E-mail rcvd from ssitani(d.b),dated:26. 05-2010  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.