Answer |
Ghusl kay 2 tareeqay hain.1.Ghusl e Tarteebi 2.Ghusl e Irtimasi.Ghusl e tarteebi ka tareeqa ye
hay: Aihtiyat e Lazim ki bina par Ghusl ki Niyyat kay saath pehlay poora sar aur Gardan dhoay aur
iskay baad badan dhoay aur behtar hay kay badan ko pehlay dain taraf say aur baad main bain taraf
say dhoay.Ghusl e Irtimaasi ka tareeqa ye hay kay Irtimaasi Ghusl 2 tareeqay say Anjaam diya ja
sakta hay.1.Dafae. 2.Tadreeji. Ghusl e Irtimasi Dafae ka tareeqa: Ghusl e Irtimasi Dafae main
zaroori hay kay aik lamhay kay liye poora badan pani main ghir jaey laikin ghusl karnay say
pehlay aik shakhs kay saray badan ka pani say bahir hona zaroori nahi hay.balkay agar badan ka
kuch hissa pani say bahir ho aur ghusl ki Niyyat say pani main ghouta lagaey to kaafi hay.Ghusl e
Irtimasi Tadreeji: Is main zaroori hay kay ghusl ki niyyat say urfi aitibaar say aik hi dafa main
badan ko pani main duboo day is ghusl main zaroori hay kay badan ka poora hissa ghusl karnay say
pehlay pani say bahir ho.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.360-366-367 |