Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question sir, mera masalha ya ha ka meri ak sister ha jis ka name Abida Kousar ha aur us ko roma kah kar pukartee hain wo married ha aur mare ami aur abu kee be death ho chuki ha wo ab maree sath rehati ha apne husband and bechaoo ka Sath magar wo meri chezoo per qabaza kar laitee ha m jo bee laitee hoo us ko use kar laitee hain maree pass kuch nahi chorti ha mujee batiee m kia karro???/  
Answer Koe shaks kisi k maal par ya huq par zulm (or dhoons ya dhaandli ya zaberdasti) k zerye qabza karay tu is amal ko ghasb kehtay hain. Malik ki ijazat(ya os k raazi hone k ilm) k baghair os ki cheez istemaal kerna haram hay. Aap on ko bata sakti hain k mairi cheezo ko mairi ijazat k bagahir istemaal nah kia jaay warna gunah hoga. Or ye aisa kaam hay jo aqal or Quran o Ahdees k mutabiq haram hay. Janab e rasool e akram(s.a.w.w) se riwayat hay k “ jo shaks kisi doosray ki aik balisht zameen ghasb karay ga tu qayamat k din os zameen ko os k 7 tabaqaat(layers) samait haar ki terah os ki gardan main daal diya jaay ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2509). Update on dated 07-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.