Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question kiya ek or do month ka bivi hamal girane ka kiya kuffar hai meri bivi ka two month ka hamal gira diya tha is ka kiya kuffar hai quran of hadish ki roshni me jawab de aap ki bari meharbani hogi 
Answer 1- Agar hamal ko maan ne saaqit(abortion ) ki ho tu maan par wajib hay k wo diyat ko bachay k baap ya dosray wariseen ko day or agar baap hamal ko zaya ker day tu zarori hay k wo bachay ki maan ko diyat day or agar hamal ko doctor ne saaqit kia ho tu zarori hay k wo bachay k wariseen ko diyat day siwaay ye k wariseen osay diyat maaf ker dain. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, Jaded masa,il maslah# 73) 2- Rooh poonkhnay k baad bachay ki diyat 525 misqaal chandi hay chahay lerhka ho ya lerhki or yehi hukum ehtiyaat e wajib ki bina par hay jabkeh janeen(wo bacha jo maan k pait main ho) murda halat main kharij hoa ho.Rooh poonkhne se pehlay ki diyat agar nutfa(semen) ho tu 105 misqal chandi hay.Agar alaqa ho tu diyat 210 misqal chandi hay. Agar gosht ka tukrha hu tu diyat 315 misqal chandi hay or agar haddi ban ga,e ho tu diyat 420 misqal chandi hay or agar aazaay badan mukammal hoon tu diyat 525 misqal chandi kafi hay or ehtiyaat e wajib ki bina par janeen k lerhkay ya lerhki hone main koe faraq nahi.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, Jaded masa,il maslah# 73) Note: 1 misqaal taqriban 3.50 gram k braber hota hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, pg#480 )  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.