Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question shawar k zaryey ghusul jayez hai aur tariqa bhi batay 
Answer Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath). Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain. (ref: Ayat Ullah sistani (d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365) Ghusl e tertibi main agar shower k zerye se ghusl kia jaay tu ghusl ki niyat se shower k neechay jain or sar o gardan ko dhoain or ehtiyaat e wajib ki bina par shower se bahar aain or ghusl ki niyat se dobara shower k nichay jain or behter ye hay k badan ko do hisso main dhoainpehlay seedhi taraf k hissay(right side) ko dhoain or bahar aain or phir ghusl ki niyat se teesri baar shower k nichay jain or ulti taraf k hissay(left side) ko dhoain. (Email rcve from A.Sistani(d.b), dated: May 14, 2011) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.