Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aasalam o alaikum 
Question main mazor hun chalpir nhi skta,hathon ma b takat nhi,sirf unglian hila leta hun,plz muje wazu ka tarika bta den,shukria 
Answer Jo shaks khud wuzu nah ker sakta ho, zarori hay k kisi doosray shaks se madad lay, agarchah dhona or masah kerna dono ki musharikat(ya shirkat/participate) se ho or agar wo shaks ujrat maangay tu agar os ki ada,igi kersakta or aisa kerna os k liay maali taur par nuqsaandah nah ho tu ujrat ada kerna zarori hay.Albattah ye zarori hay k wuzu ki niyat khud karay or masah bhi apne haath se karay or agar khud dosray k saath shirkat nah ker sakta ho tu zarori hay k kisi dosray shaks se madad lay jo osay wuzu kerwaay or is sorat main ehtiyaat e wajib ye hay k dono wuzu ki niyat karain or agar ye mumkin nah ho tu zarori hay k oska naa,ib(jo osko wuzu kerwa raha ho) oska haath perkarh ker oski masah ki jagahoon per phairay or agar ye bhi mumkin nah ho tu zarori hay k naa,ib os k haath se tari hasil karay or os tari se os k sar or paon(feet) par masah karay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 285). Wuzu k jo af,aal(kaam) bhi insan khud anjaam day sakta ho zarori hay k onhain anjaam daine k liay dosro ki madad nah lay. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 256). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.