Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question Can we see any Na Mehram by our eyes.?Answer me in detail  
Answer 1:Mard kay liye na-mehram aurat ka jism dekhna aur isi tarah is kay baloon ko dekhna khwah lazzat kay iraday say ho ya is kay baghair,Haram main mubtala honay ka khouf ho ya na ho Haram hay..Is kay chehray par nigah dalna aur haathoo ko kalaiyoon tak dekhna agar lazzat kay iraday say ho ya Haram main mubtala honay ka khouf ho to Haram hay.balkay Aihtiyat-e-Mustahab ye hay kay agar lazzat kay iraday kay baghair ya haram main mubtala honay ka khouf na ho tab bhi chehray aur haathoo ko kalaiyoon tak na dekhay...2:Wo be-parda aurtain jinhain agar koi parda karnay kay liye kahay to wo isko aihmiyat na deti ho,un kay badan ko dekhnay main agar lazzat ka qasd ya haram main mubtala honay ka khouf na ho to koi ishkaal nahi,is hukum main kafir aur ghair-kafir aurtoo main koi farq nahi.isi tarah un kay haath,chehray aur jism kay deegar hissay jihain chupanay ki wo aadi nahi,koi farq nahi hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.2392,2393. 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.