Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question kia namaz e zuhar aur asar mein (ba jamaat)Muqtadi ko surah Fatiha aur koi aur surat parhni chahiye?ba jamat namaz mein?  
Answer 1-Zarori he k muqtadi(namaz e jamat main shamil namazi) Al-hamd or sorah k alawah namaz ki sab chezain khud perhay. Laikin agar iski pehli or dosri rakat, imam ki teesri or chothi rakat ho tu zarori he k Al-hamd or sorah bhi perhay. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1442) 2-Agar muqtadi namaz e subah, maghrib or isha ki pehli or doosri rakat main Imam e jama,at ki Al-hamd or sorah perhne ki awaaz sun raha ho tu chahay wo kalimaat(yani zikr) ko theek terah se nah samajh sakay zarori he k Al-hamd or sorah nah perhay or agar Imam e jama,at ki awaaz nah sun pay tu mustahab he k Al-hamd or sorah perhay, laikin zarori he k ahista perhay or agar sehwan(bholay se) buland awaaz perhay tu koe haraj nahi. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1443). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.