Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question maine kaafi log dekhe hain agar unhe kahen ke namaz parho toh wo kaehte ke ye hamara amal hai aur akeli namaz parhne se insaan musalman nahin hota us ke dusre amal bhi ache hone chahiye ..namaz ki ehmayat kya hai dusre gunahon par parda daale?? 
Answer 1- Agar koe shaks islaam k sahi aqaid per yaqeen rakhta ho or oska izhaar kerta ho agarchah ye izhaar marifat o basirat k saath nah bhi ho tab bhi wo musalmaan or momin hay or os par emaan or islam k tamaam ehkaam jari hoongay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah#1) 2- Amar bil maroof(naikiyo ka hokum daina) or nahi anil munkar(bura,eyo se rookna) 5 sharait k saath wajib hay.or ye aik aisa azeem deeni fariza hay k quran e kareem main Allah ne irshad ferya hay k “ tum main se aik garouh(group) aisa ho jo khair ki taraf daawat day or buraa,eyo se mana karay or yehi loog falah pane walay hain.” Or amar bil maroof or nahi anil munkar ki 5 sharait main se aik ye bhi he k khata kaar par amar bil maroof or nahi anil munkar k asar ka ehtemaal ho, is bunyaad par k koe shaks jaanta ho k oska kehna asar nahi karay ga tu fuqaha main mash,hoor he k is sorat main oska koe fariza nahi he, or amar bil maroof or nahi anil munkar os par wajib nahi he laikin ehtiyaat e wajib ye he k karahat or naraazgi ka izhaar khata kaar k is kaam par karay chahay jaanta ho k wo asar nahi lay ga.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2009) 3- Namaz deeni aamal main se behtareen amal he.Agar ye baargah e ilaahi main qabool ho gae tu doosri ibadaat bhi qabool hojain gi or agar ye qabool nah hoe tu doosray aamal bhi qabool nahi hoongay. Huzoor nabi e kareem (s.a.w.w) ka irshad hay k “ jo shaks namaz ko ehmiyat nah day or osay mamooli cheez samjhay wo aakhirat main azaab ka mustahiq hay.( Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, pg# 121 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.