Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name gunah 
Question lawat ki toba ho sakti hai?pehli bar lawat kiya to lawat karanewala jab bhi lawat karata hai uske gunah lawat karne wale par jate hai ya nahi?lawat karane wale ki kaise toba karai jae. 
Answer 1-Lawaat kerna or karwana dono hi gunah e kabira hain.or aisi baat nahi hay k lawaat kerne wala gunah gaar hay or jis k saath lawaat kia gaya ho wo gunah gaar nahi hay.haan ye or baat k agar os k saath jabran lawaat kia gaya ho or wo is par raazi nahi that u wo gunagaar nahi hoga.(Ref: A.Sistani(d.b),Minhaajus saliheen, part#3, maslah#30, gunahaan e kabira, muallif ayatollah dastaghaib e sheerazi(r.h) part#1, pg#272-283). 2-Istighfaar(taubah) main 6 batain shamil hain: Nidamat k saath sachcahay dil say 14 masoomo(a.s) k waseelay k saath Allah say maafi talab kernay say tubah foran qabool hoti hay. 1)maazi(past) k gunah per shamindagi. 2) Aaindah(in future) gunah nah kernay ka masboot iradah. 3) logo ka jo haq aap per baaqi hay os ko ada kerna.(maslan kisi ka maal ya haq, nahaq khaya that tu os say maafi maangna ya oska haq ada kerna). 4)jin wajibaat ko ada nahi kiya os ko ada kerna.(maslan namaz roza ko agar ada nahi kiya that u os ki qaza bja laana). 5)jo ghosht maal e haram say jism main paidah hoa ho os ko gham o ranj say pighla daina yahaan tak k naya ghosht paidah ho. 6) jism ko waisay hi ibadat ka mazah chakhana jis terah osko gunagh say maza chakhaya tha.(Nehjul balaghah,kilimaat o hikmaat # 417) 3-Sachay dil say tauba karain Parwardigaar ne quran me wadah kia he k wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.