Answer |
Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Do cheezo say insan mujnib(halat e janabat) hojata hay. i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. Note : agar oral sex sai mani kharij ho jae to insane mujnib ho jata hai.
3)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356)
|